Followers

Sunday, 18 March 2012

Ladakiyaan Kya Kuchh Nahi Sahati Hain

Aaj mere dil mein ek tees si uthi hai,
kuchh soch kar meri aatma bhi ghuti hai,
main wahi likhta hoon
jo meri rooh jo mujhse kehati hai,
sach kahoon to ladkiyan kya kuchh
nahi sehati hain.

Bachapan mein bade bhaayi ki fatkaar,
chhote bhaayi ki shararat par
bewajah maar.
chhote bhaayi ki galati par
khud saja paana,
nanhe haathon se kuchh na
kar paane ka taana,
chhote bhaayi ko bachaane mein
inka ghutna chhil jata hai,
khush ho jaati hain jo kabhi inhe
tuta khilauna mil jaata hai,
inhe har dukh gham apane bhaayi
ki khatir ganwaara hota hai,
inhe to bhaayi apani jaan se bhi
pyara hota hai,
masoom bachapan mein bhi ye bachapan
se anjaan rehati hain,
sach kahoon to ladkiyaan kya kuchh
nahi sehati hain.


Badi huyi to inhe SCHOOL bheja gaya.
bhayi ka khyal rakhana ye bhi saheja
gaya,
jimmedariyon ke bojh tale ye kahaan
padhaayi karati hain,
bhayi ko kahin chot na lage ye iss
baat se darati hain,
adhyapak ne kya padhaaya aur kya kehata
hai,
inka dhyan to kewal bhayi ki or hi laga
rehata hai,
maa baap to thik par dadi bhi kuchh na
kuchh kehati hai,
sach kahoon to ladakiyaan kya kuchh
nahi sehati hain.

Bhaayi ka har saal janmdin manaya
jata hai,
par inake janmdin par mandir le
jaaya jaata hai,
inhe mili har cheez mein bhayi ka
hissa hota hai,
aur bhayi ki cheejon mein kuchh alag
hi kissa hota hai,
anyaay sahate huye bhi ye apana man maar
leti hain,
inaki baatein kaun sunega isliye ye chup
hi rehati hain,
sahi aur galat ko ye nahi kisi se kehati
hain,
ach kahoon to ladakiyan kya kuchh
nahi sehati hain.

Fir achanak hi maa baap ko apani
jimmedariyon ka khyal aa jata hai,
apani beti waaste be-panaah dil mein
pyar aa jata hai,
inaki haalat ko kabhi bhi na sanmbhala
jata hai,
shaadi ke bahaane hi sahi par inhe
ghar se nikaala jaata hai,
pati ki sewa karke ye khud ko nihaal
samajhati hain,
duniyadaari mein padkar ye kahaan
apana khyal rekhati hain,
kahin na kahin hum sab gunahgaar hain
ye antraatma kehati hai,
ach kahoon to ladakiyaan kya
kuchh nahi sehati hain.

Bachchon ke hone par ye unke
parvarish mein hi kho jaati hain,
padha likha kar laayak banaakar
ye unse door ho jaati hain,
fir ye aur inki tanhaayi bachapan ko
yaad karate hain,
par muskuraate huye andar hi andar
darte hain,
aaj ke samaaj mein bas yahi kuchh
chal raha hai,
ladakiyon ki haalat dekh kar
khud Maula bhi dahal raha hai,
kyonki ladkiyon ki har dua mein
Maula se hi fariyaad rehati hai,
sach kahoon to ladakiyan kya kuchh
nahi sahati hain.


No comments:

Post a Comment