Followers

Sunday 18 March 2012

Agar Kahi mai Neta hota..

Agar Kahi mai neta hota,
Toh kya hota toh kya hota.

Roz nayi yojna banata,
roz naye vaqtavya chhapata,
roz naye order nikalkar,
Theke, Theke apno ko dilwata.

Sadak todkar baandh banata,
baandh todkar nadi bahata.
Tab mai uski jaanch karata,
jaanch karakar mai kya pata,
wah mai tumko nahi batata.

Par yah sab toh tab hi hota,
Agar kahi mai neta hota.


No comments:

Post a Comment